VPN kya hai?, VPN kaise Use kare? - VPN Full Details in Hindi

Yadi Aap Nahi jane ki VPN kya hai, VPN kaise Use kare, VPN Service Kaise kaam karati hai aur VPN ke use karne ke fayde aur nuksan kya hai to Yah Article me ham aapko VPN ki Full Details me jankari dene vale hai. jise VPN se juda har sawal aapka dur ho jayega. VPN ko Smartphone Aur Computer dono me Free use kar sakte hai. 

VPN logo ki privacy And security ko bamaye rakhti hai. kyo ki Aaj ke Time me har koi internet ka use karta hai. Jise Online Fraud aur Hanker apne personal details ko chura kar blackmail bhi kar sakta hai. Lekin Vpn ka use karke IP address ko badal sakte hai. Jise aap Privately sefing ya koi bhi Online Work kar sakte hai.

Internet par bahut Website mojud hai. Bus online ki dunia me aichi bhi Website hai jo Country me Block hoti hai. Block website ko kholna chahte hai to VPN (virtual Private Network) ka use karke aap block website ko asani se open kar sakte hai. Kyo ki VPN IP Address ko badal deta hai.

Read Also: Top 15 Future Upcoming Technology in Hindi

VPN kya hai?, VPN kaise Use kare? - VPN Full Details in Hindi

VPN kya hai? (What is VPN in hindi)

VPN ka Full form Virtual Private Network hai, Yah ek tarah ka Network hai jisa use private network or WIFI ki security ko safe karne ke liye kiya jata hai. VPN sabhi tarah ke Data ko safe rakhta hai. Aam aadmi Internet ka Use Browsing, Download Aur video streaming etc. ke liye karata hai. Virtual Private Network (VPN) ko Mobile aur Computer dono me VPN application ke jariye use kar sakte hai.

VPN Service ko Free me bhi use kar sakte hai aur paise dekar bhi use kar sakte hai. Yadi aap Free VPN ka Use karte hai to kuch Limitation hoti hai aur Ads bhi dekhne ko milte hai, Yadi Paid VPN ka use karte hai to usme aapko Ads dekhne ko nahi milega aur new Feature Dekhne ko mil jate hai. jo free VPN Use se nahi milte hai

Virtual Private Network (VPN) Service ka use jadatar online kam karne vali Compenya karti hai. jaise ki Corporation (Bank), Organisations, Educational Institutions aur Government jaise other big Company Unauthorized Users se ya Hacker apne Sensitives Data ko protect (Safe) rakhne ke liye VPN ka use karti hai. VPN Data ko encrypt karta hai jise Hanker ko pata nahi chalta ki Data me kya hai. To VPN Data ko Internet par Safe rakhta hai.

VPN ek Private network hai. VPN User ka IP Address badal deta hai jise user kahi se bhi Network ka use kar sakte hain IP Address Change hone se users internet par Pehchan Supakar Surfing kar sakte hai. jise users ke personal data ko bhi Hacker se bachaya ja sakta hai. VPN se Block Website bhi open kar sakte hai.

VPN kya hai?  (What is VPN in Hindi) ke bare me pata chal gaya hoga. VPN kaise kaam karata hai? Aur Free VPN Mobile aur Computer me kaise use kare batayenge.

VPN kaise kaam karta hai? (How To Works VPN in Hindi)

VPN kaise kaam karta hai?. VPN ko Device ke sath Connect Karte hai Tab Device VPN Local Network ki tarah kam karta hai. Aur jab Website ko Phone ke Browser me Search Karte se tab hamare Desh me Block Website ko VPN ki Help se User ke Request ko us Block Website ke Server par bhejta hai aur vaha se website user ke Device me open hoti hai.

VPN kaise kaam karta hai - How To Works VPN in Hindi

VPN ka kaam hamare Data ko internet par Secure karne ka hota hai. Aur iske alava internet par hamare desh me block website ko bhi VPN ke jariye Access kar sakte hai. VPN Devices ke IP address ko Change karke hai. jise Block Website ke server par Other desh ke IP address se Recvest karta hai jise hamare desh me block website kisi aur desh ka IP address use karake open kar sakte hai.

Example: Jab India me Mobile Pubg Game Band huve tha tab VPN ka Use karke other desh ke Network ke IP se log Pubg ko khelte the aur Chala bhi sakte the. Informesan ke liye bata raha hu par aisa nahi karta chahiye.

Yadi devises me VPN use karte hai to VPN User ke Data ko encrypted kar deta hai. Jise ek Devices se dusre Devices me VPN ka use karke Data ko Send karte hai to bich me kai aur nahi Data ko samaj pata hai aur hanker se bhi apne Personal data ko kai hadh tak Safe rakh sakte hai.

Aapne jana ki VPN kya hai? aur Vpn kaise kaam karta hai? Ab janege ki VPN kaise use kare? Mobile or computer par.

VPN Kaise use kare? (How to Use VPN in Hindi)

Virtual Private Network (VPN) Kaise use kare aap nahi jante to niche ke asan se Step ko Follow karke Mobile aur Computer, Laptop me Free VPN services ka use karna chikh jayege.

Mobile me VPN kaise use kare?

Android mobile me Free VPN ka use karne ke liye Google Play Store Par kai sare Free Mobile VPN Application mojud hai aap kisi ko bhi use kar sakte hai. Hum aako batayenge Super VPN app ko bare me jo free VPN services deta hai. Free vpn me Ads dikhti hai.

Mobile me VPN Setup kare:

Step 1 - Mobile me Super VPN ko Google Play Store se install kare aur Open kare.

Step 2 - Open Karne ke bad  Disable Optimization screen dikhai degi usme Don’t Show Again par tick kar Dena hai. box Closs ho jayega.

Monile me Free VPN Kaise use kare

Note: Yadi Aap Background Activity ko enable karna chahte hai to Continue par tab karege.

Step 3 - Don’t Show Again par tick Karne ke bad CONTINUE par tab kare.

How To use Free VPN For Android

Step 4 - Continue Karne ke bad Connect par Tab Kare aap VPN ON ho jayege.

Best Free Mobile VPN

Note: app me Ads aye to usko closs kar dena hai.

Step 5 - VPN OFF Karne Ke Liye - Open VPN  > Continue > Tab to Disconnect karne se  VPN bandh ho jayega.

Free Mobile VPN Setup kaise kare

VPN me aap kisi bhi County ka servers yani IP adress use kar sakte hai aur IP VPN me Change bhi kiya ja sakta hai.

Note: Super Vpn ko Free me use karte hai to Ads dekhne ko mil sakte hai.

Read Also: Free Download Manager App Fast Downloading

Computer me VPN kaise use kare?

Computer me Free VPN ka use karne ke liye Chrome extension ki Helps se Google chrome me aur  IP address aur username Passport ki help se Computer me Manually VPN ko use kar sakte hai. Lekin me aapko ek Best tarika banane vala hu jise aap Opera Browser ki Help se VPN ko use kar sakte hai. Yah Best Free VPN hai. To niche ke method  ko step by step Follow kare.

Computer me Free VPN setup kare:

Step 1 - Pehle aapko Computer ya laptop me Opera Web Browser Software ko Install karna hai. Niche diye gaye Download Botton se Software ko free me Download kar sakte hai.

{getButton} $text={download} $icon={download}

Computer me Free VPN setup kaise kare

Step 2 - Opera Browser ko Install Karne ke bad open kare fir side me Manu par Click kare aur Setting me Click Kare.

Computer me VPN kaise use kare

Step 3 - Setting me aapko VPN Search Karna hai aur VPN ko Enable karna hai.

VPN kaise kaam karta hai (How To Works VPN in Hindi)

Step 4 - Enable karne ke bad  VPN ON ho gaya hoga. AB yah Browse me kisi bhi Block Website ko Open kar sakte hai.

Best Free VPN for Computer mobile in hindi

Important Note: Dosto VPN ki jankari knowledge ke liye diya gaya hai aap iska dur upayog karte hai ya Hacking etc karne ke liye karte hai to uski jimmedari aapki hogi isme hamri Site Gyan Supply kai bhi jimedri nahi hogi.

VPN ke fayde aur nuksan kya hai?

Yadi aap Vpn Services ko use karte hai to Vpn ke Advantage or Disadvantage dono hai yani VPN use karne ke Fayde aur Nuksan dono hote hai. Aap VPN ke Fayde aur nuksan kya hai? Dono ki jankari yaha bataya hai.

VPN ke fayde (Benefits) kya hai?

  1. VPN ko use karne se Internet par securely Web surfing kar sakte hai.
  2. VPN Users ke Personal Data ko hanker se kai had tak bacha sakta hai.
  3. VPN ka use karke Block website ko access kiya ja sakta hai.
  4. VPN Data ko Encrypt Karta hai jise Data Safe rehta hai.
  5. Paid VPN se Data aur bhi secure ho jata hai aur Feature bhi jada milte hai.
  6. Pain VPN me High-Speed data to transfer kar sakte hai aur Full bandwidth milti hai.

VPN ke nuksan(Loss) kya hai?

  1. VPN use karne se Internet Speed kam ho jati hai. Jise Website Load hone me Time lagta hai.
  2. Free VPN ka use karne hai to aapko Ads dekhne ko mil jate hai.
  3. Kai sare Free VPN me Limited bandwidth milti hai. Jada tar 3GB se 6GB tak free hota hai.
  4. Free VPN ka use High Confidential Data ke liye Nahi Karna chahiye, isme Data Leck Hone ke Chance hai.
  5. VPN ka use tabhi karna chahiye jab jarurat ho aur isko use karke kisi unauthorized Website ko access karne ka try na kare ise aapko badme Problem ho sakti hai.

Conclusion:

VPN kya hai aur VPN kaise Use kare aap nahi jane to VPN Full Details in Hindi me bataya hai aur VPN ke Advantage aur Disadvantage ke bare me Yah article me jankari Diya hai. VPN se juda kai bhi saval ho to Comment Box me bata sakte hai.

Read Also:

Aap Yah Article acha laga ho to Apne Dosto ke Sath Share jarur kare aap ka koi bhi sawal ho to Comment me bata sakte hai hum jarur jabab dege. Thank For the Reading.

कृपया करके comment box में कोई भी spam link ना डालें.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post