Top 15 YouTube Shorts channel Ideas 2022 - Fast Grow Your Channel

Youtube Shorts channel Ideas-aaj kal aapko bahut sunne ko mila hoga. Youtube Shorts itne fayde de raha hai or aane vale time me bahut ache ache update aane vale hai.

Kitne log choste hoge ki ham Youtube Shorts Videos banana to chahte he par hamare pas na to koi category he na to koi topic hai. Kis topic ke upper ham apna Youtube Shorts Channel create kar sakte hai.

Aaj ham Top 15 Youtube Shorts ideas bataye he jis par aap Youtube Shorts Channel bana sakte hai. Ye 15 Categories aaj ke time me bahut famous hai or jaldi se rank bhi ho sakti hai.

Top 15 YouTube Shorts channel Ideas 2021 - Fast Grow Your Channel

{tocify} $title={Table of Contents}

Top 15 Youtube Shorts Channel Ideas 2022

1. Health and Fitness

Bahut sare yoga, Aerobic, Gym Instructor etc.. Health And Fitness me aa jata hai. Aap diet ke tips bhi de sakte he ki aapko kis time or kya kya khana chahiye. yadi aapka vajan itna hai, apni uchai itni hai, to apko is dait ka dhyaan rakhna chahiye. Aapko karna kush bhi nahi he bas Health And Fitness me jich ke bare me aapko gyan he use aap Youtube Shorts Videos bana kar bata sakte hai.

Agar aapko yoga ki jankari he to aap kis tarah asan kiya jata he or ye asan kis ke liye kiya jata ye sab aap Shorts Videos me bata sakte hai. Abs exercise, chest, shoulder bicep, tricep jitney bhi types ke exercises he vo aap bata sakte he yadi aap gym instructor hai. Yadi kam karne ke sath ek Shorts channal bhi bana lege to aapka kush nahi jayega. Shorts Videos me 60 seconds tak ke aap Videos banana he, matalab maximum 1 minutetak ke Short video bana sakte hai.

2. Makeup and Hairstyle

Yah ek aichi category he jise boy and girl dono bhi kar sakte hai. Isme aap hairstyle bana kar bata sakte he makeup ke tips bata sakte. Yah chij sabhi ladkiyo ke andar hoti he, sabka apna apna anubhav hota hai. Is time aap bilkul free he to aap apna YouTube Short Channel bana kar sabko tips to de hi sakti hai. agar aapka Channel chalne lagta hai to aane vale time me aapko iska labh jarur hoga.

3. Fashion

Fashion me aap girl and boy ke dressing sense ke bare me bata sakte hai. Office me ja rahe ho, party me ja rahe ho, market me jana he, friends ke sath jana ho, date par par ja rahe ho to kis prakar ki dressing sense honi chahiye? Kis prakar ke kapde pahne? Is sabhi ke bare me aap Shorts videos Channel bana sakge hai.

personality development ke bare me bhi bata sakte hai. Har aadmi aaj kal apne aap ko update karna chahte ho, definitely uske personality me improvement ayegi.

4. Entertainment

Entertainment, ek aichi category he jo hamesa chalti hai. bollywood me konchi movies aane vali he abhi web series time chal raha he aap uska Shorts me review de sakte he; release date bata sakte he; in fact aap trailer ke upper bhi YouTube Short videos Chennel bana sakte hai.

jaruri nahi ki aap bollywood hamesa aise hi chalega, sauth ki movies ke bare me bhi aap bata sakte hai. Movies, web series, chahe bacha ho ya bada, sabhi ke log dekhte hai. aise Channel bhi kafi chal rahe hai.

5. Astrology (ज्योतिष शास्त्र)

Astrology yadi aap rashiphal ke bare me thoda bhi jante to surya grahan, chandra grahan ye sab hote rahte hai. har koi aapni janm kundali ke bare me janna chate he hai.

agar aapko Astrology gyan he to aap iske bare me bata sakte hai. Hamari bahut sari rashiyan he, aap ek-ek karke har rashi par Shorts Videos bana sakte hai.

6. Career

Government jobs and private jobs ke bare me jankari he to aap bata sakte he. agar nahi he to aap internet me search karke kon si jobs nikli government jobs ya private me. Jobs ki position kya he, location konsi he, qualification kya he aichi kar chij ko kavar kar sakte hai.

har koi is time jobs ki talash me he kyonki lockdown ke baad har koi job ki talash me hoga. Aapka ye Channel bhi bahut teji se grow karega. Iske lie na to jada time lagega or na h jada aapki mehnat lagegi. Bahut jaldi or adhik jankari de sakte hai.

7. Motivational

Motivational Channel hame chalet he, aaj k time me Motivational ki sabhi ko jarurat hoti hai. Bahut sare aise log hote he jo stress me aa jate he, isi ka breakup huva he, kisi ko job naki mil rahi, kisi ke pas job to he lekin man nahi lag raha. Aaj ke vakt me har vyakt apni problem lekar betha he or in abhi ko abhi na kabhi motivation ki jarut kabhi na kabhi hoti hoti hai.

8. Share Market

Agar aapko Share Market ki jankari he to aap ise sabke sath shere kar sakte hai. Kab company ke share badhege? Kab niche aayege? Kin company me invest karne se fayda hoga? Share ko kab khade beche? In sabhi ke bareme jankari de sakte hai.

9. Tech

Tech me aap mobile reviews, laptop reviews, mobile tips and trick etc.. bata sakte hai. Aap mobile leptops ke features ke bare me bata sakte he, konsa leptop ya mobile gamming ke liye best, is prakat ki jankari aap Shorts Videos me de sakte hai.

10. Video / Photo Editing Tips

Bahut se log he jo Youtube ke Videos banate he, Instagram ke Videos banate he, thumbnail banate he, photos k edit karte hai. Aapne dekha hoga ki log photos ko edit karne ke liye kabhi paisa kharch karte he, lekin jiske pas paisa nahi he vo log khud se editing chikhna chahte hai.

Bahut se aise bhi log he jo lakho rupey kharch karke photo ya video editing sikhte hai. Aap aise logo ke liye Shorts video Chennel  bana sakte he or agar logo ko aapka conten acha lagta he to aapka Channel kafi jalti grow kar jayega.

11. Sports

Aaj IPL, T-20, World Cup nahi chal raha hai. Lekon aisa nahi he ki puri jindaki aisa hi chalega yee sab jarur hoga. football, hockey, badminton he or bhi kafi sare aise sports he jiske bare aap bata sakte he. Sports ko india me chahne vale kitne log ha ye sayad hame bata ne ki jarurat nahi hai.

12. News

News ek aisa topic he jisme aapko content ki kabhi bhi kami nahi hogi. Kisi bhi news website se aap heading ko le kar apne Channel me uska overview de sakte hai. Lekin ye aap par depend karta he ki news kis prakari deni hai.

13. Jokes

Aap apna Youtube Shorts Channel Jokes ke upper bhi bana sakte ha. Jks aaka fuuny he, double meaning hai. Yadi aap funny nachur ke he to aapke liye ye jata muskil hone vala nahi hai. Aap badi aasani se iske upper Shorts Videos bana sakte hai. Aapne dekha hoga cartoon Channel teji se grow kar rahe hai. In me kai age category nahi hogi jokes ko har age ke log sunna chahte he or enjoy karte hai.

14. Shayari

Shayari sad, romantic, double meaning, funny, attitude etc.. hoti hai. In sari categories me aap Shorts Videos Channel bana kar bata sakte hai.

15. Cooking

Cooking Youtube Shorts Videos Channel bana sakte hai. 1 minute me aap puri cooking to karke nahi dikha sakte he lekin bahut shi aisi tips hoti he jo aap de sakte hai.

Conclusion:

Aapko Top 15 YouTube Shorts channel Ideas ke bare me bataya hai. Jiski Helps se aap YouTube Short Chaneles bana sakte hai aur YouTube Short Channel ko Fast Grow kar sakte hai.

Yah Article aapko acha laga ho to apne Dosto ke Sath Social Media par Share Jarur kare. Aapka Koi bhi sawal ho to Comment Box me bata sakte hai. Thank you For The Reading.

कृपया करके comment box में कोई भी spam link ना डालें.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post