20+ Useful Google Chrome Keyboard Shortcut Keys in Hindi - Gyan Supply

20+ Useful Google Chrome Shortcut Keys in Hindi - Gyan Supply ke article me Most useful Google Chrome Browser ke Best Shortcut Kay ke bare me banaya hai. jiska use karke aap Google Chrome ko Fast tarike se kaam kar sakte hai. Aur kaam ko asan bana sakte hai.

Yadi aap Computer, Laptop user hai to Internet chalane ke liye Best Web Browser ka to jarur use karte hoge. Yadi aap ko Computer me Browser ki Shortcut Key ke bare me pata nahi hai to aap ko kaam karne me jyada time lag jata hai. Yah article me aapko Google Chrome Browser ke keyboard Shortcut Keys ke bare me jankari Diya hai. Yah Shortcut Key ka use karke aap Browser ke kisi bhi kaam ko Fast kar sakte hai

Read Also:

Gyan supply ke yah Article me 20+ useful Google Chrome Keyboard Shortcut Keys ke bare me bataya hai ise Google Chrome ka use Karna asan lagne lagega aur kaam ko Bhi teji se kar sakte hai. Aaye jante hai ki Kon kon chi  Shortcut Key hai aur usko kis kaam ke liye use kiya jata hai.

20+ Useful Google Chrome Keyboard Shortcut Keys in Hindi - Gyan Supply

Google Chrome Keyboard Shortcuts Keys in Hindi

F5

open webpage ko reload Karne ke liye F5 ka use karke Page ko Refresh kar sakte hai.

F6

Address Bar, Bookmark Bar aur Webpage par Tab karne ke liye F5 Use kiya jata hai.

F11

Aap apne browser ko full screen me Dekhna chahte hai hai to F11 ko Press karke Full Screen me Dekh sakte hai.

Ctrl + T

Yadi aap naya Tab ko open karna chahte hai to Ctrl + T  shortcut keys ko Press karne New Tab Open kar sakte hai.

Ctrl+F

Dadi aap browser me open Webpage par koi keyword ya Text search karna chahte hai to Ctrl+F shortcut key Ko Press karne se Text search box khul jayega.

Ctrl + R

Browser me open webpage ko Reload karna chahte hai to Ctrl + R Key ko press karne se Page ko Reload kar sakte hai.

Ctrl + W

Jab aap Google chrome browser me multiple Tab Use karte hai aur Unhe bandh karna hota hai to aap uske liye Ctrl + W shortcut keys ko Press karne se Open Tab ko Close kar sakte hai.

Ctrl + J

Google chrome browser me Download Page ko open karna chahte hai to aap Ctrl + J shortcut keys ko Press karke Download Page ko khol sakte hai.

Ctrl + P

apne browser me koi Webpage open kiya hai aur aap uske content ko print karne ya PDF format me save karne ke liye Ctrl + P ko press karne se Page ka Print ya PDF bana sakte hai.

Ctrl + L

browser ke search bar me jaane ke liye aap Ctrl + L shortcut key ko Press karte Bowsres me search kar sakte hai. 

Ctrl + D

Browers me Open Page ko Bookmark karne ke liye Ctrl + D  Shortcut key ko press karke Page ko Bookmark kar sakte hai.

Ctrl + Shift + N

Browser me Ctrl + Shift + N Key ko press karke Browsers me incognito Mode (window)  ko Open kar sakte hai.

Ctrl + Shift + T

Yadi Browsers me Galti se koi Tab Bandh ho jaye to usko Firse Open karne ke liye Ctrl + Shift + T ko press karke Open kar sakte hai.

Ctrl + shift + O

Google Chrome browser me bookmark manager ko open karna chahte hai to Ctrl + shift + O shortcut Key ko Press karke Bookmark Open kar sakte hai.

Ctrl + Shift + Del

aap apne google chrome browser ka browsing data, history, cookies, cache delete karna chahte hai to aap Ctrl + Shift + Del shortcut Key ko Press karke asani se delete kar sakte hai.

Shift + Esc

Google Chrome browser me Task manager ko open karne ke liye Shift + Esc shortcut key ko Press karke kiya jata hai.

Ctrl + 1 to Ctrl + 8

Browser me bahut sare Tap ka use karte hai to Ek Tab(Page) se Dusre Tab(Page) me jane ke liye Ctrl + 1 se Lekar  Ctrl + 8 Shortcut Keys ko Press karke Tab ko Badal sakte hai.

Ex: man lo ki apne Browser me 7 Tab khole hai aur aapko 5 MR Tab me jana hai to aap Keyboard se Ctrl + 5 Key ko Press karke 5 Men Tab me ja sakte hai.

Ctr l+ 9

Google chrome me last Tab(page) me jane ke liye Ctr l+ 9  shortcut ko Press karke Last Tab me ja sakte hai.

Ctrl + Tab

Google Chrome Browser me multiple Tab(page) open rakhte hai to ek Tab se dusre Tab par jane ke liye aap Ctrl + Tab shortcut key ko Press karke Tab ko badal sakte hai. 

Shift + Mouse Left click

Google chrome browser me link ko New window me kholna chahte hai to Shift ke shath Mouse se Left Click shortcut key ko Press karke New Windows me Open kar sakte hai.

Ctrl + Mouse Left click

Google chrome browser me link ko new Tab me open karne ke liye Ctrl ke sath Mouse se Left click shortcut Key ko Press karke Link ko naye Tab me Open kar sakte hai.

Ctrl And (+ and -)

Browser me aap zoom In katne ke liye Ctrl And + Key aur Zoom Out Karne ke liye Ctrl And - Keys ko Press karke Zoom In YA Zoom Out kar sakte hai.

Ctrl + 0

Browser me zoom page ko Default size me lana chahte hai to Ctrl + 0(Zero) shortcut Key ko Press karke Page ko Default kar sakte hai.

Shift + arrow key

Browser me Text ko select karne ke liye shift ke sath arrow key ko Press karke Text ko select kar sakte hai.

Ctrl + Shift + I or F12

Browers me Developers Tools Windows kholne ke liye Ctrl + Shift + I ya F12 Shortcut Key ko Press karke Developers me ja sakte hai.

Conclusion:

Aapko 20+ Useful Google Chrome Keyboard Shortcut Keys in Hindi ke bare me bataya hai. Jiska use karke aap Computer Laptop me Browsing Ko Fast Tarike se kar sakte hai.

Read Also:

Aapko Yah Article acha laga ho to apne Dosto ke Sath Share Jarur kare aur aap badh me Shortcut Key Padhne ke liye Page ko Bookmark kar sakte hai. Aapka Koi sawal ho Comment me bata sakte hai. Thank For The Reading.

कृपया करके comment box में कोई भी spam link ना डालें.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post